Monday, 25 March 2013
EVERYBODY IS CORRUPT OR NO ONE IS CORRUPT
Aaj har news channel aur news paper me ek news hai jo
hame comman dikhti hai vah hai corruption, agar ham dekhe to corruption
matr english ke 10 character se milker
bana ek word hai par aaj yahi word har kisi ke juban par chaya hua hai,
spacialy agar ham india me dekhe to ham paayege ki yaha to corrupt banne ki hod
si lagi hai , har vykti es hod me ek dusre se aage nikalna chahta hai aur apne
aap ko sabse bada corrupt sabit karna chahta. Aaye din hame news me sunane ko
mil jata hai ki hamare phla neta ne 10000000 ka ghotala kiya to kisi ne ins eek
kadam aur aage nikal gaye aur is rasi ke
dahine taraf ek zero aur bada diya do kisi ne do zero bada diye. Aur jo jitna
bada corrupt vah utna famous. Hamare neta hi nahi balki hamare any
adhikari aur karmchari bhi hai sab apne lebal par corruption karte hai jisse
jitna ban pata hai. Aur is corruption me jo dhan loota jata hai vah hota kiska
hai, vah hota hai aam janta ka kyoki jo corruption karte hai vah itne imandar
jarror hote hai ki vah apna dhan nahi lootate hai isliye vah tax aadi ki pahle
hi chori kar lete hai taki baad me unhe aapna hi paisa na lootna pade vah jante
hai ki is nek kaam ke liye hamari janta ki khoon paseene ki kmayi hai hi jise
ham aram se pani kit rah bha sakte hai. Agar kisi ko corrupt ke
list se alag rakha jata hai to vah hai hamari aam janta jinke bare me kha jata
hai ki vah vah kisi ko lootate nahi hai balki log unhe lootate hai chaye vo
professional lootere ho dhongi baba ho ya
haamare neta ho . Par mera manana hai ki asali corrupt hamare neta nahi , hamare aadhikari ya bade
karmchari nahi balki hamari bholi bhali aur nirdosh kahi jaane vaali janta hai,
ham hai , aap hai aur har ek aam aadmi. Aap soch rahe honge ki mai ye kah rha hoo
sayad mai paagal ho gya hoo par mai paagal nahi hoo , kuch der baad aap bhi
yahi kahenge ki kahi na kahi ye sach hai aiye ham apne daily life ko karib se
dekhte hai aur sochte hai ki aaj jis tarah se currption bad gaya hai uske liye
kaun jimedar hai, ham, aap ya koi aur. Har ek vykti apne tode se
aaram aur laabh ke liye currption ko badava de rha hai apne dhyan diya ho to
aap jab bhi kisi lambhi line me khade hoote hai chahe vah line rasan ki line ho
ticket ki line ho ya aur kisi ki line ho line me muskil se ek minut bhi aap
khade nahi huye honge ki aapke dimag turant aaya hoga ki kaas koi 10-5 le leta
aur mera kaam turant kar deta to kitna aacha rahata, ye aap hi nahi balki har
insaan yahi sochta aur hamari yahi soch
corruption ko badati hai ,is samay yah hame currption nahi laga par jara sochiye agar aap line me first ya
second number par hai aur tab aap ki baari aati hai aur saamne baitha admi aap
se vahi 10-5 maange tab aap ka kaam kare to yahi aapko currption lagne lagega
jo ki kuch samay pahle aap svaym use den ke liye teiyar the is tarah ham currption ko badava dete hai ko
ki jab hamari madat karti hai to vah hamare liye aacha hota hai par yahi jab
hame nuksaan pahunchati hai to yahi hamare liye currption ban jati hai. Isi prakar jab koi tender nikalta hai to use pane
ke liye koi bilder 10000 to koi 20000
ghoos dene ke kiye taiyar ho jaata hai, par yahi koi pahli baar jab
bisnus suru karta hai aur tender paas karne ke liye jab aadhikari usse vah paisa
khud maangta hai ghoos ke roop me to vah use currption najar aata hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment